Nazim

Jung toode Sansaar
Rang han dikhta sarkar ka
Band ab aankhein ye meri
Atanki han nazim sipahi ne jheli
Jhoome han saari ye sena
Masoom ke rakht se maafi likhdena
Sugandh barood ki, agni pe ghar
Naa mange sipaahi Katputli vo bas

10 saal pehle ka kissa ye guzra
Maa ka ek lauta vo beta tha
Aam sa Bachpan jawaani takatwar
Sena mai Bharti sipahi ke pad par
Garv se Maa ghume moholle mai
Beta aadha Samay ghar se bahar
Kami mehsoos han hoti toh hogi
Par desh ke aage sab lagta bekaar
Junoon han Seva ka sir pe savaar
Tankhwa ke naam par 25 hazaar
Suvidha dene mai shaasan barbad
Maa ka chehra dekhe Guzri kayi raat
Ek din Chuti lekar Aakhir ghar aaya
Pohocha ghar Maa ne sene se lagaya
Diwaare vo ghar ki aur thaali jo sajti
Aaram jab pith apne bistar par lagti
Chuti ka Anand Bete kuch hafte
Achanak ek din saare phone han khadke
Phone pe bola ghoshit hai jung
Aana padega han ussey turant

Nikla majboori mai kehlo kartavya
Shatranj mai khaali Vo piyada ye Satya
Kamre uss ghar ke phir se sune ab
Aaram ya desh kisko chune ab?
Pohocha agle din jung ki zameen pe
Border pyaar naape han kyu ab zameen se
Toli ke saath hi han shuru tyaari
Tabhi radio pe chalri khabar kayi saari
Aaya aadesh ek gaao mai dushman han
Building ek banjar si unka thikana tha
Jaana tha unko vaha par
Aur vaha se un sabko maar Girana tha
Goli baarood bhaare baste mai
Hatyaare toh dono taraf hi samaan
Zameer ki aad ladata vo nazim
Katputli zameer aur Maalik sarkaar

Sipaahi ke saathi pohoche vo sthyaan
Nikaali bandook nazro pe dhyaan
Tabhi ek goli han chali zameen par
Hamla tha dushman ka nazre toh teer
Chupe saare ek diwaar ki aad mai
Goliyo ki barsat han jaise ek baad
Dekha ek saathi ki ghayal thi taang
Aakrosh mai maara han dushman haiwaan
3 dushman gire chalni hokar
Andar ghuse toh 3 aur pe hamla
Marne se pehle Usne kiya vaar
Shahid ek saathi aur shant vo kamra

Raat ko vahi jamaya tha adda
Agle misson ki tyaari mai wyast
Saathi ki maut se maano anjaan
Aansu unke han sukhe registaan

Mantriyon ko maut ki pohochi ye khabar
Befikar usne diya ek aur aadesh
Maalik ka bas ek han toota khilona
Sipahi Kathputli ye nazim ka khel

Agli subah Katputli pradarshan pe
Aadesh nazim ka vaar ab dushman pe
Gussa bhara Andar saathi ki maut ka
Taana hathiyaar pradharshan tyaar
Pohoche ek biraan ilaake mai
Khaali toote ghar jab Andar se jhaake
Ek ghar mai usne mehsoos ki hulchul
Insaan betha Andar taala lagake
Toda darwaza dekha hathiyaar
Ghabraake dekha Uske chote praann
bas jaate hi uspe han chaaku ka vaar
Hathiyaare vardi mai antar sarkar
Suni awaaz ek bacha dauda aaya
Santaan uski lash ki Usne bataya
Gaao ka tha vo ek aam parivaar
Suraksha ke liye rakha tha hathiyaar
Radio pe Maanga Maalik se aadesh
Nazim kehta han "mitaana hai bhed"
Rota bacha chikha dekh ke laash
Kathputli maare goli bin paschtaap

Sarkaaro ka khel hai jung
Sipaahi khilona Tirange pe khoon rang
Sipaahi atanki dono hathiyaare
Bas kaanon ki rekha se mil na vo paare
Masoom ke ghar pe Dhamaka
Uss aurat ki izzat haathon mai sena ki
Ab kaisa vo desh aur kaisi vo bhakti
Kanoon aur insaniyat dono alag thi
Par tu toh Kathputli



Credits
Writer(s): Somansh Sharma
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link