Qafas

Badhte Chale In Rahon Me Hum Sada
Manzile Puchhe Tujhe Mere Nishaan
Ilzaam Ka Insaaf Se Hai Kya Waasta
Sahi Ya Galat Kya Isme Hai Rakha

Kyun Hai Tu Apne Mann Ke Sahilon Se Juda
Kaid Hai Kyun Iss Duniya Ke Bojh Me Ab Yahan
Zanzeeron Ka Kya Hai Samay Pe Jung Khayegi
Tod Kar Fir Nikal Iss Qafas Ko

Himmaton Ko Jod Kar Chal Raha Hu Yahan
Ishtehaar Chhapa De Mere Naam Ka
Har Gali Har Basti Har Nukkad Pe Yahan
Ek Sabha Bitha Kar Bata De Main Hu Tera Khuda

Kyun Hai Tu Apne Mann Ke Sahilon Se Juda
Kaid Hai Kyun Iss Duniya Ke Bojh Me Ab Yahan
Zanzeeron Ka Kya Hai Samay Pe Jung Khayegi
Tod Kar Fir Nikal Iss Qafas Ko

Wehem Se Bhari Ye
Jhooti Insaaniyat Hai
Jiska Na Mol Koi
Utni Si Haisiyat Hai

Ye Jeena Bhi Kya Hai Yahan
Samjhote Mein Kya Hai Rakha
Khud Ko Tu Kar Itna Bada
Sitare Bhi Kahein Tu Khuda



Credits
Writer(s): Aman Raj
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link