Intro

(RAKHLETI) thodi si baat tu apne mein, dobaara taki tu call kar paye
Tere bahane hum yaado ko likhe jab yadein khatam paper roll kar jaye
Aate hee ghar aakhein numm ho gayi, hum muhpe toh kafi kuch bolkar aaye
Pucha geya mujhse tere baare me jab kuch bhi hum kassam se bol na paaye
Safar me badla hain sathi tuney, kisi aur ko mili ye manzilein meri
"Roka nehi kyun maine tujhe uss raat" ye funny thoda mujhpe blame jo deri
Kamre mein cheekh raha "pick up the phone", I don't know kyu meri calls nehi leri tu
Jaise main kabhi kuch tha hee nehi tera, duniya ke aage tu aise kyu kehri?
Sabar na huwa ek shaam tak tumse, sabar me humne ek umar guzari
Suljhake pehle ye uljhane meri, di mujhe tumne fir wahi uljhan hee
Thoda main nasamajh shayed hee hu,Tu samajhdar hoke bhi ayi na samjhane
Waqif hu tere har roop se main
Mujhe tu apna ek ayna samajh le
Duniya se qala ka daam bhi lelu par tere aage meri keemat hee kya hain
Tujhpe toh hain hee na dil koi shayed se
Khudane bas tujhe soorat hee di hain
Gyi tu aise ke le gyi roshni, meri zindagi me suraaj hee nehi aab
Jehen me mere bas dusri ek duniya, iss duniya ka mujhe kuch samajh hee nehi aab



Credits
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link