Rogi (Solo)

Tere Ishq Da Rog Lagaa Hai
Tere Ishq Me Ban Gayaa Rogi
Aur Tu Hi Tabeeb Mera Hai
Ab Na Main Kahin Ban Jaaun Jogi

Kya khaakh likhun, khaakh pe mai khaakh hua khaakh hi
Bachaa nai zameer toh bachaa li tuney naak hi
Hun kaafir tere jaisi qaum ke liye main
Toh padhe phir kaun ye shiqaayatein reh gayi kaagzi
Jo tukdon me tune hai lautaya
Wo maine tujhe ek diya tha
Darwaaza khula hi tha
Maine sab dekh liya tha
Yaadon ke parindey lauta gye wo khat
Jo maine baahar phenk diya tha
Haan tauhmatein lagi hui mujhpe kaafi
Aur sach maano mai bhi kabhi unhein karta nai khaarij
Mai bhi padaa hua abhi ussi mod pe
Jahaan se tu gayaa mujhe karke apaahij
Mohabbat na waisi ab baaki ki sab kuch main teri ek hansi pe yun bhool jaaun
Kisi prem dhaage se na hua ye shuru toh bhalaa kaise ek rassi pe mai jhool jaaun
Jisse pyar karo wahi zaalim kaat'ti hai
Paison se kaam karo, duniya aake chaat'ti hai
Jab jhooth aur fareb tera saath nahi dete
Tu aaine me kaise gham baant'ti hai
Tu saanp agar zindagi ye khel saanp seedhi
Likhun kaise kalam-e-zakham meri aapbeeti
Kuch meetha sa hi rahaa hoga swaad shayad
Warna wo baar baar kyu itna mera khoon peeti

Tere Ishq Ka Rog Lagaa Hai
Tere Ishq Me Ban Gayaa Rogi
Aur Tu Hi Tabeeb Mera Hai
Ab Na Main Kahin Ban Jaaun Jogi

Tu wo mandir jiske baahar baitha mai bikhaari
Tere diwaano ki dayaa pe meri rozgaari
Ik khwahish ke badle hai saanson pe ginti
Main maangu khuda se dua bhi udhaari
Yaadon ka cement iss dil ki daraaron me
Sunti diwaarein kya rakha sannaaton me
Chun na safar mujhko manzil toh milni hai
Kashti ki khwahish le baitha kinaaron pe
Marte hi marte bhi chaha usko
Mere gham kyun lage hain tamasha usko
Meri yaad toh dilaayega budhapa usko
Mai uss haal me bhi deta munafa usko
Mere marne pe dena lifafa usko
Mai usme tha jeeta bataana usko
Jab dekhe wo aaine me soorat kabhi
Dikhega koi meri tarah ka usko



Credits
Writer(s): Sanket Kumar Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link