Afsos

Mai ab aur darna nahi chaahta
Sambhaal ke rakhna ab chhor diya
Toh khone ka dar nahi
Rone se dard nahi
Sone pe karz nahi sukoon se
Tumne doori banaai ye tumhari bhool hai
Kyu maaf karoon bina maafi ke
Aur der se maangi cheez milti nahi hai
Jitne gham tumne diye kaafi the
Maafi dene se bhi cheez badalti nahi hai
Rishte nibhana aaye na aaye
Maine todna nahi chaaha
Kisi apne ko beech raah me kahi chhodna nahi chaaha
Seene se lagaa ke rakha har rishte ko
Magar kaam aaye kiske wo
Har daleel kyu sunu
Har ilzaam kyu sahu
Mai zaleel kyu banu
Tera gulaam kyu rahu
Rishte ka ghulaam hu tumhara nahi
Kya sudhaarun jo maine kabhi bigada nahi
Ujaada nahi, tinka tinka mera bhi hissa
Tumne toh bas haath lagaya kabhi sanwara nahi
Tumhein paani diya isliye nahi ki barosge
Meri keemat samajh aaye toh tarsoge
Mere jaisa aaya nahi koi bhi barson se
Mai badalna nahi chahta jhoothe jhagdo se
Tum dil nahi mere geet dekho
Kitne khoobsoorat hain
Kisi aur ki na sahi ye likhai
Meri hi koi zaroorat hai
Meri aankhein bhar do
Main panne bhar dunga
Tum dil me kona do
Mai dil me ghar dunga
Ye meri soorat hai
Isspe bhaau anek
Aankhon me chhipaaye ghaau anek
Lagte dekhe inhone rishton pe daau anek
Haa mai haar gayaa tum jeete
Ye mere aansu bhalaa tum peete?
Tum aage raho mai khush hu peeche
Mai samet lunga ye meri cheezein
Kabhi call nahi karunga peeke
10 baatein nahi sunanuga free ke
Hum jaise hain theek hain
Aap na dikhaayein humko sheeshein
Laal aankhein daantein peese
Har baar wahi baatein cliche
Mai ek smile rakhta hu decent
I've grown out of my teenage
Har din nayaa kirdaar
Waada e wafaadaar
Ab aati hansi kabhi kabaar
Chukaayein kaun ye udhaar
Dil pe ab aur bojh nahi hai
Iss insaan ko ab hosh nahi hai
Tu aaj hai par roz nahi hai
Tu saath hai par dost nahi hai
Bagal me hai mere close nahi hai
Tere paas mere jaisi soch nahi hai
Ye yaadein saansein noch rahi hain
Magar humko afsos nahi hai



Credits
Writer(s): Sanket Kumar Mishra
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link