MIRROR

Ye rap wap karna hai ki chor du mein sochta
Aaine ko mein dekhu toh mein deep ko hi khojta
Dil ko bhi pata hai junoon mujhko rap ka hai
Faasle jo darmiyaan kalam ye mera naapega

Kalam jo le lu haato pe mein haato ko bhi rom du
Mein jalta Teri or se mein roshni ko mome hun
Bol du un baatoon ko yeh mic par jo dil mein hai
Sab kehte hai kya kehte ho tum mic par ab Milne pe
Dil ke hai ye baatein yeh baate hai wakoof ki
Mein larta rehta zaalimon se baat ye wajood ki
Zindagi ki kashti bhi fasi hai majhdaar mein
Haram jaise roza eid ke hi iftaar mein
Ikraar hai mujhe kalam ye likhta marhawa
Mein baatein likhta dil ki jo bhi dil mein hai har martaba
Manzile rukhsat hai meri manzar dekh raahon pe
Aur mehfilo se tanha mujhko hijr sabke baahon se
In baaton pe koi gaur do yeh baatein nai mehboob ki
Hum lipte baithe zakhmon se aur saath mere vaasuki
Paano pe kathor hai kalam ye likhta saadgi
Jo maut ho amar rahe kalam ye mere baad bhi

Ye rap wap karna hai ki chor du mein sochta
Aaine ko mein dekhu toh mein deep ko hi khojta
Dil ko bhi pata hai junoon mujhko rap ka hai
Faasle jo darmiyaan kalam ye mera naapega

Mein laapata hu khudse khud ko khojta kinaro pe
Kinaro pe khila hu mein ki naa ruke kivaado pe
Kitaabon pe kyu vaaru mein kitaabon ka hi maara mein
Kitaab likhte haara mein kataaro ke kirdaaro pe
Ye andhon ka hai duniya isme chashme hi mashoor hai
Tha kal bhi mera kaalki ye kal ka hi kasoor hai
Mein seheta hu sitam bhi jo yeh kal ka hi kasoor hai
Ab deep likhta dilkashi Mirror toh yun mashoor hai
Samjh nai aata kya karu ye zindagi hai maut si
Mein chumta hu panno ko kalam se hai par mausiiquii
Sochta mein chor dun ki likhna khud ke baare mein
Phir yaad aata deep saala baitha sabse haare hai
Alvida hai sabko mera aag jalta seene mein
Hai bair mujhko aap se ab khouf lagta jeene mein
Todd du kalam kya mein yeh nok rehta nokh par
Jo rok de ye nok ko mein bojh banta kokh par

Ye rap wap karna hai ki chor du mein sochta
Aaine ko mein dekhu toh mein deep ko hi khojta
Dil ko bhi pata hai junoon mujhko rap ka hai
Faasle jo darmiyaan kalam ye mera naapega



Credits
Writer(s): Abhradeep Banerjee
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link