KALAM

Dusro ko kya kahe
Jab apne mujhpe shak kare
Peeche bole kadwa
Muh pe bante jaise shakkar hai
Mein aankhein kar lu band bhi toh
Nazar ye meri sab par hai
Alag hu sabse kaise main
Woh sab karu jo sab kare

Dusro ko kya kahe
Jab apne mujhpe shak kare
Peeche bole kadwa
Muh pe bante jaise shakkar hai
Mein aankhein kar lu band bhi toh
Nazar ye meri sab par hai
Alag hu sabse kaise main
Woh sab karu jo sab kare

Jag par hai janam toh jana
Jag mein kuch azab kare
Gazab kare ki jab mare
To aankhein sab ye num kare
Hum nikle jab the kokh se
Sirf hum roye aur sab hase
Hum jayenge jab alvida
Toh sab roye sirf hum hase

Woh din bhi maine dekha hai
Jab apne mere gair lage
Woh kehte thee ki kya karega
Haath mein Kalam dhare
Yeh din hi mujhko laane mein
Kai raat maine jung lade
Yeh desh ka har baccha ab
Khilauna nai kalam dhare

Ab jeeni aisi zindagi
Missalon mein amar rahe
Mein kal rahu ya na rahu
Kalam ki par kadar rahe
Ye zindagi mein kuch nahi
Bas yaad mera kaam rakhe
Ki mar gya toh kabr par
Koi phool nai kalam rakhe

Sharam kare janab sabne
Sapne maara paap hai
Aur haath uthake bete par
Koi banta nai hai baap be
Hum naam jeete hai aise
Tu khudko mujhme dekh sake
Aur dushmano ka kya bhala
Bala hai apne saanp be

Dusro ko kya kahe
Jab apne mujhpe shak kare
Peeche bole kadwa
Muh pe bante jaise shakkar hai
Mein aankhein kar lu band bhi toh
Nazar ye meri sab par hai
Alag hu sabse kaise mein
Woh sab karu jo sab kare

Dusro ko kya kahe
Jab apne mujhpe shak kare
Peeche bole kadwa
Muh pe bante jaise shakkar hai
Mein aankhein kar lu band bhi toh
Nazar ye meri sab par hai
Alag hu sabse kaise mein
Woh sab karu jo sab kare

Hum kya kare ab iska
Baaju wala agar hai AIIMS mein
Hum kyu dare society se
Haa duje mere aims hai
Bolne wale kaiyyon thee
Aur chalne wale ek hum
Aaj manzile kareeb dekh
Woh sar jhuke hai shame se

Haa same se utha hu mein
Jis maati pe kadam chale
Umeed dikhti laakhon ko
Ab jab bhi ye kalam chale
Sukoon milta rooh ko
Jab bhi mushkilo mein ek hase
Ab haste rehte dardo pe
Aur zakhmon pe marham male

Muqqamal hai ye jeevini
Jo chahta tha woh kar rahe
Ye dil ki saari baatein aaj
Yun shabdon se bikher rahe
Mein kehna chahta kaafi
Baaki hai safar mera
Suffer kara hai kaafi
Aur woh bhi hai sabak mera

Hum seena taane baar baar
Jab bhi ye taane pade
Sar jhukaye baar baar
Ungli ye taane khade
Lund pe rakh ke buddhi
Baatein chod bane bade
Aur dekh putra Tapati ka
Aage badh jale badhe

Dusro ko kya kahe
Jab apne mujhpe shak kare
Peeche bole kadwa
Muh pe bante jaise shakkar hai
Mein aankhein kar lu band bhi toh
Nazar ye meri sab par hai
Alag hu sabse kaise main
Woh sab karu jo sab kare

Dusro ko kya kahe
Jab apne mujhpe shak kare
Peeche bole kadwa
Muh pe bante jaise shakkar hai
Mein aankhein kar lu band bhi toh
Nazar ye meri sab par hai
Alag hu sabse kaise main
Woh sab karu jo sab kare



Credits
Writer(s): Abhradeep Banerjee, Mc Mirror
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link