Main Hoon Hero Tera (Armaan Malik Version)

Aankhon ke pannon pe
Maine likha tha sau dafa
Lafzon mein jo ishq tha
Hua na honthon se bayaan

Khud se naraaz hoon, kyun be-aawaaz hoon?
Meri khamoshiyan hain saza
Dil hai yeh sochta, phir bhi nahin pata
Kis haq se kahoon bata?

Ke main hoon hero tera
Ke main hoon hero tera, haan
Ke main hoon hero tera
Ke main hoon hero tera, haan

Main hoon hero, hero tera

Raahon mein bhi
Har qadam main tere chala
Haathon mein the yeh haath
Magar phir bhi raha faasla

Seene mein hain chhupe ehsaas pyaar ke
Bin kahe tu sun le zara
Dil hai yeh sochta, phir bhi nahin pata
Kis haq se kahoon bata?

Ke main hoon hero tera
Ke main hoon hero tera, haan
Ke main hoon hero tera
Ke main hoon hero tera, haan

Teri wajah se hain mili
Jeene ki sab khwahishein
Paa loon tere dil mein jagah
Hain yeh meri koshishein

Main bas tera banoon, bin tere na rahoon
Maine toh maangi hai yeh dua
Dil hai yeh sochta, phir bhi nahin pata
Kis haq se kahoon bata?

Ke main hoon hero tera
Ke main hoon hero tera, haan
Ke main hoon hero tera
Ke main hoon hero tera, haan

Ke main hoon hero tera
Ke main hoon hero tera, haan
Ke main hoon hero tera
Ke main hoon hero tera, haan



Credits
Writer(s): Amal Israr Mallik
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link