Chakravyuh

Feki buri nazar aur woh nikli mujhe chhukar
Abhi betha asmaan badalo se bhi me upar
Ab badhna hai bas aage
Nahi dekhu mudd ke piche
Kalam kagaz ko yoon siche
Bas ye paer rahe zameen pe

Unlogo ko bolunga shukriya jinhone kabhi muje duukh diya
Hoon pehle se behtar jagah pe jobhi kiya mene khud kiya
Aaj kuch nahi kal surkhiya, shabdo se deta jab mei muktiyan
Apne ke liye kurbaan hoon gaero ko badla hua rukh diya

Sangeet pas tha sabse faasla
Sooni zindagi koi khaas na
Gyaan dete jinse na vaasta
Darwaze band khud khoja rasta
Ankhein band kari mene saadhna
Tyaag diya moh dharma jaat ka
Gharwale samjhte ki hoon me nastik
Par mic ke saamne nikle merhi aastha

Thame nahi mere kadaam duniya walo ki rok se
Mushkilo ka chakravyuh seekha bhedna jab aaya tha maa ki konkh mei
Abhimanyu hoon me kya hoga choti kharoch ya chot se
Jo virgati milgayi kal ko toh rahu amar me soch mei

Bas yahi sochleke chale na pata kab lage zindagi pe ban
Ye safar anokha shuruwat se mere 4 see 40 fan
Jo dekh ke nazarandaaaz karte aaj janna chahe woh mere plan
Shatranj ki baazi palti hai aaj chal futt yaha se i don't give a damn

I don't give a damn me karu kyu
Kisi aur se piche me rahu kyu
Jab tode vaade
Pehne rang sadey
Kisi aur ke piche mei sadu kyu
Aankhein namm bheegi thi zindagi bhi feeki
Leke kuch shabd shuruat mene ki thi
Leke kuch shabd shuruat mene ki thi
Aur boli jo bhi batein mene asliyat mei jee thi
Rahasymay hai aadat meri kissa sunake tumhe kya mila
Dastak dene anjaan aya zahir kiya tha shikwa gila
Me girr raha tha laga sab khatam hai
Khela maut se bhi usme gaman hai
Ilzaam lagaya khud ke ghamand pe
Nahi har sakta me iss janam mei
Kaali hoodie gaane bajake meri kabar pe mujhe yaad karna
Kabhi khauf nhi tha maut katoh faltu mei na ankh bharna
Me karta nhi hoon bhed bhaav
Kandha milake mere sath chalna
Jo bhi dil dukhaye rishte hai todde sharminda hoon me mujhe maaf karna
Ye baat hai thode baad ki jab aag mei samaunga
Cheeze lipti taaro ke bhitar pahelia suljhaunga
Par chalrahi hai saanse abhi jab tak chalengi mei gaunga
Aya tha me itehaas rachne yaha jhande gaadd ke jaunga



Credits
Writer(s): Shashank Dwivedi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link