Prasthan

Sansar se moh tyaag ke
Virajman hai yaan pe
Hum bhar chuke udaan hai
Jana chahte hai chand pe
Ye karm ka anjaam hai
Ab banchuka hai shamshaan yeh
Jeevit rehna apmaan hai
Hum kar chuke ab prasthan hai

Sansar se moh tyaag ke
Virajman hai yaan pe
Hum bhar chuke udaan hai
Jana chahte hai chand pe
Ye karm ka anjaam hai
Ab banchuka hai shamshaan yeh
Jeevit rehna apmaan hai
Hum kar chuke ab prasthan hai

Aaj ki taza khabar biki tumhari wafa hai
Khata hai tumhari tabhi toh khaafa hai
Tumse kon paraya aur kon saga hai
Kiske khate mei kon badda hai
Kiske paley mei kon khada hai
Naam uthaoge kom ka palenge tumhe yaha hinsa ki koi ni saza hai
Tabhi Mere bol bol karte ujagar
Sarvoch soch gehra hai saagar
Hoti nok jhok fir bhi hai aadar
Pasaro paer jiitni hai chadar
Kya fayda choch ka sookha gagar
Jeevan gaatha likhe moksh paakar
Parlok tehle sang bhoot pret
Sathi pisach prani nisachar
Tum gyaan doge hadd se zyada hum hath jodlenge dur se
Aankh milake baat karo par dekhna na kabhi ghur ke
Karma asal hai sambhal ke rehna sabke ghamand hue chur hai
Hum puchte hai nirdosh kese jo snan karte hai khoon me
Pehle bhootkal mei jaativaad tha
Ab har mudda bane jativaad ka
Lalach dikhake bhagwaan naam ka
Mastiksh mei bharte irshaa ki bhavna
Iss duniyadari se dur,
Hum danke ki chott pe chatti ko thok ke,
Chatti hai chaudi, chatti pe 32 likha hai
Humari hai tumse shikayat

Sansar se moh tyaag ke
Virajman hai yaan pe
Hum bhar chuke udaan hai
Jana chahte hai chand pe
Ye karm ka anjaam hai
Ab banchuka hai shamshaan yeh
Jeevit rehna apmaan hai
Hum kar chuke ab prasthan hai

Hum narklok ke dwar khade
Khud ki tabahi ke maarg chale
Nirast jo bhi prayas rache
Wahi swastha chitt jo bhed chaal chale
Meri kavi ki chhavi barbaad
Darkhwast unhi ki sune aaukaat jinki
Chahte hai paana nijaat
Jo hai khud hi haq se agyaat fark ek
Annyadata moorti mei nahi mere annyadata sooli pe hai
Samajik bojh kandhoo pe thera insaaan lagte koolie se hai
Vyapaar chalta shiksha ka yaha jane padhate kya tantra mantra
Sapne bachpan sab tyaag ke baccho ko banate insaani yantra
Apraadh hote aankho ke saamne par kese koi sandigdha nahi?
Satya bolte sab rajneta par tathya ka astitva nahi
Auraat jaaat ke garv ka shikaar karte hai raat mei
Kyu dekh ke bhi andekha karte jo hota hai aankho ke saaamne

Sansar se moh tyaag ke
Virajman hai yaan pe
Hum bhar chuke udaan hai
Jana chahte hai chand pe
Ye karm ka anjaam hai
Ab banchuka hai shamshaan yeh
Jeevit rehna apmaan hai
Hum kar chuke ab prasthan hai



Credits
Writer(s): Shashank Dwivedi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link