Jinn

Jaha paida hua wahi meri maati bhasam
Nahi chhodunga kisi ko aaj maki kasam
Mene shuru kiya bolna toh baat hi khatam
Kabhi ruka nahi jabb bhi kiye kharij jatan

Kesi tapan? Giddh nazare tikaye
charo or jaha dekho mera sheher jalraha hai
Kahi bhaiyo mei apasi mei baer chalraha hai
Kahi speakeron mei gully gully khaer chalraha hai?
Kahi baap ka beta peso pe aish karr raha hai
Kahi bete ka baap thelo pe saer karr raha
Kahi khaki mei bhrasht logo se taesh karr raha hai
Koi haqq se humare jebo mei cash bharr raha

Shuru hai ab toh jung fir yalgaar ho
Kese bachaega khuda tumhara doobe sansaar ko
Abhi anjaam dunga rann mei me sabke sanghaar ko
Toh alvida mere yaaro ko jese myaan aur talwar ho

Pada hoon soch mei ki aisa kabhi hoga ya nahi
Pada hoon soch mei ye batein tumse kese kahu
Pada hoon soch mei ki bolu ya fir chup hi rahu
Par bolunga sach jab tak rago mei behta lahu

Pada hoon soch mei ki aisa kabhi hoga ya nahi
Pada hoon soch mei ye batein tumse kese kahu
Pada hoon soch mei ki bolu ya fir chup hi rahu
Par bolunga sach jab tak rago mei behta lahu
Jo kabhi saans gayi thamm ya awaz hogayi band
Toh dronark bro, man you know what to do
Thats it, release kardena sara music
Taki pata chale sabhi ko humne kiya tha kyu
Humne liya tha kyu, kyu nafrat ka yeh ghar
Kyu mahaul aisa bana ya toh karr ya toh marr
Kurban kiya mann rooh jhokk diya dhadd
Tab jake hai amar kabhi kiya nahi "agar"

Mujhe darr kisi ka na kisi baat ki sharam hai
Matlab na mujhe kisi ki jaat ya dharam se
Kala ka hi toh guroor kalakaar me haram
Jo kalam mera sar vidhwa meri kalam

Jeene ka tarika seekha mene uss jagah se jaha
Kroor hai tamaam behti khoon ki ye nadiya
Kalejo ki hai dawat kala koode ke samaan
Insaan jivit jisse brahmand ka hai gyaan

Jaha jinn ka hai raj jinki rooh mei chhed
Takleef deke dusro ko kasht hai na khed
Waha jayaz aisi nitiya awaam ke jo pare
Khada me bhi hoon taiyyar leke saam damm dand bhed

Dharma ka hai saya aur adharmiyo ki aag
Lobhiyo ka sama betha kam hai dene wale tyaag
Firr bhi hai ummeed jaagi sansaar mei abhi bhi
Lekin vedo mei likha hai kalyug ka vinaash

Sangeet se sunaunga kuch unsuni kahani mitenge rog samj ke maksad mera
Issi khatir ye zaroori shabdo ke prakop se
Issi waqt karu hi vats mere vadh tera(vadh tera)



Credits
Writer(s): Shashank Dwivedi
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link