Prerna

Roz kari hustle
Kabhi gaya nahi tham
Zindagi se na laadu
Meri khud se hai jung
Akele na tu seh
Abhi baant de yeh gum
Tujhe hausla milega
Jab bhi bolega tu hum
Unse dosti na rakh tujhe karte hai jo numb
Tujhe bolte bekaar par tu kisi se na kum
Poora pahad bhi hilega teri soch mei hai dum
Tere kaam se hilega inka nafrat wala maan
Girke uthna tu seekhe kyuki isi mei hai fun
Zimmedariya badi tujhe kamana hai dhan
Parivaar ka khayal rakhna yahi tera karm
Teri banegi virasat ab tu jaaega jab maar
Karte kaam ko tu rehna tera naam tab badega
Iss toofan ko tu sehna shaktishaali tab Banega
Bharte jam ko na rehna tera naam tab ghatega
Jiss mukam pe mei hu na jaali logo ko dikhuna

Sabhi pyaar ko dikhake apne kaam ko nikale
Khuda bole inse duur khudke raaste banale
Apne kaam ko dikhake phir tu pyaar ko kamale
Ab jab aaenge yeh wapas inko bol kon ho saare
Koi dabaoo nahi mujhpe, mei vishwas rakhu khudpe
Na taanav koi mujhpe, mei dikhao sab ko karke
Mei toh dhyaan karu jab bhi khudko paao pass rab ke
Meri saans na rukegi, nahi aankh meri jhapke
Meri aas na rukegi poore jab tak na ho sapne
Karte kary ko jaa nahi fal tere bas mei
Jab bhi aaegi rukawaat kar muqabla tu hass ke
Nahi haar bhi toh sakta maa ki shaktiya hai mujhmei
Abhi kaabil mei banu kamyabi mere peeche ho
Lift na hai koi sabko leni hogi seeree bro
Prerna hai deni aane wali nayi peedi ko
Badalenge jo desh aane wali nayi jeevi wo

Abhari mei rahu mere khuda ka wo sath de
Ruhani meri ruh mene seekha mere past se
Ab aanshu bhi na aae jab akela baithu raat mei
Pyaar unko diya laga rahenge wo sath mei
Kho gaya hu khud mei hu khud hee ki talash mei
Khass jisne bola abhi nahi hai wo pass mei
Unhe laga dhoka yeh toh dene wala baad mei
Chalna tha mei chahta abhi unhee ke toh sath mei
Bharosa rakhna hai zarruri apne haar yaar pe
Asli na hai wo toh tumhe sense hoga far se
Aankho se nahi tum dekho apni aankh se
Vishw dikhega tum ghar ke hee dwaar se
Kayam rakh ke himmat mei badhta hu kadam
Sab chahiye mujhe mei toh abhi poora hu magan
Nahi chodunga kasar meri poori hai lagaan
Jaadu hatho mei hai mere mei toh cho lunga gagan

Jab bhi aati hai mushkile mei bata ta ni kisse
Aadhe karte ni parwah baaki khush hai tum faase
Saare swarthi hai log nahi chahte hum baade
Karo baate tum khud se wo takleefe bhi sune
Mera maan rahe saaf, meri aatma hai mahaan
Paida hua tha sunsaan, nahi maarunga gumnaam
Kaam pasand na aasan usse seekhe na insaan
Mehnat mera phela naam mera ho raha aagaz
Kathin kuch bhi hai nahi mumqin sab kuch mere yaar
Jab bhi baant te hum gyaan hum ho jaate hai hosiyaar
Khud ko karna mujhe saabit mei toh baitha hu taiyaar
Kitni bhi milegi nafrat mei bas dunga sab ko pyaar
Manzil laage ab kareeb accha mera hai naseeb
Banda mei hu kaafi deet kar lunga mei sab achieve
Jab tak pass hai sangeet mujhe milegi ab jeet
Jab tak pass hai sangeet mujhe milegi ab jeet



Credits
Writer(s): Lalit Pandey
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link