How Do Bells Bring Happiness

Ek baar ek bachche ne apni mummy ko poocha
Ki "Mamma, aap subah-subah ghar mein mandir mein itni ghanti zor se kyon bajaate ho?
Noise pollution ho jaata hai usse, pata hai?"
Kya yeh noise pollution hai ya kuch aur? Aaiye jaante hain is video mein

Namaste doston, mera naam hai Rishi Nanda
Aapne dekha hoga ki kai gharon mein subah-subah ghar ke jo bade hote hain woh zor-zor se ghanti bajaate hain
Mandiron mein aap jaaoge, wahaan pe jo bhakt jan hote hain
Woh Devi-Devta ke saamne khade hoke zor-zor se ghanti bajaate hain
Aankh band karte hain, naman karte hain, parantu ghanti bohot zor-zor se bajaate hain
Aisa kyon karte hain?

Ek, jab mandir mein ghanti bajti hai uska kaaran yeh hai ki "Chalo sab aa jao, pooja ka samay ho gaya hai"
Toh sab logon ko samajh mein aa jaata hai ki "Chalo ab jaake naman karna hai"
Bhagwan ki aarti utarni hai, pooja karna hai, khana dena hai Bhagwan ko
Toh ek samay hota hai us vakt mein ghanti bajti hai ki sabko pata chal jaata hai ki ab mandir mein jaana hai
Devi-Devta ke saamne jaana hai

Dusra kaaran yeh bhi hai ki jab aap zor-zor se ghanti bajaate ho
Tab aap note karo ki, ki aapke andar ki jo vibes hain, woh positive ho jaati hain
Aap pe thodi energy aa jaati hai

Teesra kaaran, yeh mana jaata hai ki jab koi zor se ghanti bajaata hai
Toh usse jo sound nikalti hai, us ghanti se
Uske wajah se wahaan pe jo germs hain woh mar jaate hain
Yeh maanyata hai. Iske upar to debate chal rahi hai
Koi kehta hai yeh hota hai, koi kehta hai nahi hota hai

Parantu agar aap isko side mein rakh denge, ek positivity aapke ghar mein hoti hai
Ek positivity aapke saamne aa jaati hai
Aapki vibes improve hoti hain, aapka focus level improve hota hai
Yeh concept toh agar aap dekhenge, Pizza Hut mein bhi use kiya jaata hai
Ki jaise khaana ho jaata hai woh log kehte hain, "if you like what you ate, please ring the bell"
Because that also spreads positivity— them people woh prerit rehte hain
It changes the entire atmosphere

Toh jab aapke ghar mein koi ghanti baja raha ho hai, toh usse aap noise pollution na samjhein
Yeh samjhein ki woh aapke ghar mein, aapke aaspaas positivity badha raha hai
Aapke vibes ko improve kar raha hai
Thank you



Credits
Writer(s): Rishi Nanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link