The Secret Written In The Puranas

Namaste, doston, mera naam hai Rishi Nanda
Aaj hum jaante hain ki mandiron mein
Bhakt-jan jo hain, parikrama kyun karte hain

Aapne dekha hoga mandiron mein
Ki kayi saare bhakt-jan ya toh bhagwan ke saamne jayenge
Namaskar karenge, koi saashtang namashkar karega
Koi bhajan gaayega, koi mantra bolenge

Parantu kayi saare bhakt, kayi saare bhakt
Uss devi ya devta ki moorti ke aas-paas parikrama karte hain
Ek circular formation mein chalte hain
Koi teen baar chalta hai, koi saat baar chalta hai
Koi nau baar chalta hai, jitni unki maanyata hai

Aur jaise woh uss...
Uss parikrama kar rahe hote hain, uss devi-devta ke
Toh koi mantra padhta hai, koi poojta hai
Koi maafi maangta hai, koi dhanyawaad karta hai

Koi sirf apna maatha uss mandir pe rakhta hai
Aur koi mantra jap ke bhagwan ke saamne
Apne aap ko woh surrender kar dete hain
Parantu kyun karte hain yeh log?

Agar aap dekhenge, Sanatan Dharm mein
Prakrati ko hi bhagwan ka darja diya gaya hai
Prakrati ko hi bhagwan ka darja diya gaya hai

Vayu Devta, Indra Devta
Alag-alag bhagwan hain, alag-alag roop hain
Parantu sab bhagwan
Sab roop prakrati se hi linked hain

Ab yahan par hota kya hai ki ek hai soorya
Jiske aas-paas jo prithvi hai woh parikrama kar rahi hai
Woh ek circular formation mein chal rahi hai
Aur prithvi ko jo energy hai woh soorya se milti hai

Yahan par jo deity hai, jo devi-devta hai, jo bhagwan hai
Jab aap uske aas-paas parikrama karte ho
Toh yeh woh metaphor hai, yeh uska representative hai
Ki main iss prakrati ka parikrama kar raha hoon
Ki mujhe bhi energy mile, mujhe bhi positive vibes milein

Aur tab us cheez ko, jo aap praapt karna chaahte ho
Jiske liye uss devi-devta ke mandir aap gaye aur pooj rahe ho
Woh parikrama karte-karte aapka dhyaan uss devi-devta pe hota hai
Aapka focus hota hai, aapka concentration hota hai
Jiski wajah se aapke thought process bhi change hote hain

Jab aap Lakshmi Maata ki pooja karte ho
Aur jab mandir se baahar nikalte ho
Aapke zehen mein sirf lakshmi hoti hai
Ki ab aapko lakshmi ko praapt karna hai

Toh jab aap parikrama kar rahe hote ho
Aapka poora concentration, flow of thoughts
Everything goes towards Lakshmi Maata

Waise hi jab aap Saraswati Maata ki parikrama karte ho
Toh aap gyaan praapt karna chaahte ho
Waise hi jab aap baahar nikalte ho uss mandir ke
Toh aapke zehen mein Saraswati Maata hoti hai

Agar aapke jeevan mein koi vighn hai, koi problem hai
Toh aap Ganpati Bappa ki pooja-jap karte ho
Unki jab aap parikrama karte ho toh aapke zehen mein kya
"Mere jeevan mein jo vighn hain, main usey kaise door karoon?"
Vighnaharta aake karenge

Toh isliye jab aap agli baar parikrama karenge
Yeh dhyaan mein rakhiye ki aapko uss parikrama ki wajah se
Aapka concentration level badh raha hai
Aapka focus badhta hai, aapka stress kam hota hai

Aur aap kisi ko surrender karte ho
Aur bhagwan ko agar praapt karna hai
Toh khud ko toh surrender karna hi hoga



Credits
Writer(s): Rishi Nanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link