Did Three Triplets Work

'Teen tigda kaam bigda' ye aapne suna hi hoga
Aur aapne dhuyaan diya hoga
Kabhi-kabhi teen log jab ghar se baahar nikal rahe hote hain koyi kaarye karne ke liye
To bade-buzurg keh denge, "Teen log nahi jaana, pehle do jan jaao"
Kuch der ruk jaao, koyi aur bhi inke saath jaao
Aaiye jaante hain aisa kyun kehte thhe

Namaste dosto, mera naam hai Rishi Nanda
Aaj hum baat karenge 'Teen tigda kaam bigda'
Aisa kyun kehte hain

Puraane zamane mein bike nahi thi, gaadi nahi thi, hawaijahaaz nahi tha
Logo ko paidal chalke jaana padta tha, jahaan pe bhi wo jaate thhe
To jabh bhi wo travelling ke liye jaate thhe, unhein teen-chaar din to lag hi jaate thhe

Kabhi koyi apne putra ke liye ladki dekhne ja raha hai, vivaah ke liye
To ho sakta hai 10-15 din lag jaayein
Koyi teerath yaatra ke liye ja raha hai, to ho sakta hai ek saal lag jaaye
Ab wahaan pe jab wo log travell karte thhe
To unke paas uss waqt wahaan pe bullock cart hoti thi bas
Prantu wo to aap bhi maanenge wo badi dheemi gati se chalti hai

Ab itna time ek vyakti chupchaap to nahi beth sakta hai, baate to karega hi
Apne mann ki baat karega, dusre ki mann ki baat sunega
Vaartalaap karenge ek-dusre ke saath
Ab aate hain 'Teen tigda kaam bigda' kyun kehte hain

Ab maan lijiye teen log ja rahe hain
Wo jaate hain koyi teerath pe, kisi ladki ko dekhne, vivaah ke liye
Ya wo phir koyi ghumne ke liye kidhar nikalte hain

Aur wahaan pe teen jan beth ke baate kar rahe hain
Ab har ek ka apna ek opinion hota hai
Har ek ki apni ek raayi hoti hai
Ab usmein maan lijiye agar har ek ki alag-alag raaye hai
Aur do logo ki raaye milti hai, ek ki nahi milti hai
To mudbhed ho sakta tha, jhagda ho sakta tha
Wahaan pe haatapayi ho sakti thi

Jo ek hai, akela reh gaya, uski to koyi sunwaayi hi nahi ab
Do bhai saath mein ho gaye, do jigri dost saath mein ho gaye
Teesre ko akela kar diya

To islie purane zamane mein kehte thhe, ki teen, paanch, saat
You know odd numbers mein nahi jaayenge, even numbers mein jaayenge
Kahenge chaar mein jaao, chhe mein jao, uska kaaran ye hai
Ki jab phir jab bahar jaate thhe log, to wahaan pe jab unki-
Unke beech mein vaartalaap hota tha, wo apne mann ki baat karte thhe
To overall, ek unbiased discussion hota tha
Aur umsmein agar teen log ek baat maante aur ek nahi maanta tha
To samajh mein aata tha ki, you know, theek hai
Isko shayad ye baat nahi samjh mein aa rahi hai, ye baakiyon ko aa rahi hai

Aaj ki date mein jise kehte hain 'Majority wins'
Viasa hi hota tha, prantu, usmein se koyi na koyi samjhdaar bhi hota tha
Jo ek conversation ko facilitate karta tha
Sabke mann ki baat wo table pe laate thhe
Baat karte thhe, vichaardhaarayein exchange hoti thi
Aur usmein kabhi bhi groupism nahi ho pata tha
Chances bohot kam hote thhe

Ye andhvishwaas nahi hai, dosto, ye ek itni beautiful baat hai
Ek itni amazing concept hai, humare ancestors ne jo humko samjhayi hai
Ke jab aap kaam karo, toh you know, aap even number of logo ke saath karte ho
To wo team mein jab even number log hoyenge
To har ek apneaap ko vichaardharaein present kar sakta hai

Ye andhvishwaas ki baat nahi hai, dosto, ye baat badi logical hai
Ke agar teen log hoyenge, do log to aapas mein groupism bana kenge
Ek ki to koyi sunwayi hi nahi hogi, ho sakta hai wo sahi bhi ho
To isliye, jab aapko koyi kahega 'Teen tigda kaam bigda'
To aap samajhiye ki aapko ek aur vyakti ki aavashyakta hai

Aur aap log chaaro jan achi tarah baatein kar sakte hain
Aur ho sakta hai ki aap dusro ko bhi convenience kar paaye
Kyunki aapko baat karne ka mauka milega
Jo shayad aapko do logo ke against nahi milega, jab aap akele lenge
To agli baar 'Teen tigda kaam bigda' yaad rakhiyega



Credits
Writer(s): Rishi Nanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link