Why Do We Touch The Feet Of Elders

Ek baar ek bachche ne apni maata ko poocha
Ki mamma, main namaste toh kar deta hoon, log...
Jab koi buzurg aate hain, jab koi baahar se log aate hain
Aap mujhe unke charan sparsh karne ko kyun kehte ho?
Aaiye jaante hain charan kyun sparsh karne chahiye

Namaste, doston, mera naam hai Rishi Nanda
Aapne kabhi dhyaan diya hai
Jab bhi koi bade buzurg aate hain ghar mein
Toh maata-pita apne putra ko kahenge
"Jaao, unke charan sparsh karo, aashirvaad lo"

Toh bachcha kehta hai
"Main namaste kar deta hoon, pair kyun chhoone hain?"
Maata-pita kahein, "Nahi, nahi, woh buzurg hain
Woh bade hain, unka aashirvaad lete hain"

Bachche kehte hain, "Woh hum namaste kehte
Toh bhi aashirvaad de sakte hain, chhoona kyun zaroori hai?"
Aaiye jaante hain kyun zaroori hai

Hota kya hai ki jab hum kisi ke pair chhoote hain
Hum jhukte hain, humara ahankaar thoda kam hota hai
Us kshan khatam ho jaata hai

Aur jaise hum chhoote hain apne dono haathon se
Kisi vyakti ke dono charanon ko sparsh karte hain
Aur woh vyakti us samay jab humara haath
Unke charanon pe hai, sparsh kar raha hai
Usi waqt apna haath humare sar pe rakhta hai

Toh human body mein electronic, magnetic waves hoti hain
Jo exchange hoti hain, aur zyada karke jo buzurg log hote hain
Unki energy positive hoti hai, woh positive energy humein transfer karte hain
Science ise nahi maanta hai, parantu yog-shaastr ise maanta hai

Toh is kaaran jabhi bhi koi buzurg aate hain
Koi senior aate hain, koi well-learned person aate hain
Gurudev aate hain, gyaani vyakti koi aata hai
Toh maata-pita kehte hain, "Inke charan sparsh karo"

Toh unki positivity aapke paas aati hai
Unka aashirvaad aapke paas aata hai
Jisse humara confidence bhi badhta hai

Parantu kabhi bhi aap half-heartedly mat kijiye
Kayi log hote hain jo ghutnon ko touch kar dete hain
"Charan sparsh karta hoon"
Movies mein toh dekha hi hoga aapne?

Nahi, woh us vyakti ka anaadar hai
Aap jab charan sparsh karte hain, poora maan-sammaan dijiye
Kyunki woh vyakti aapko aashirvaad hi nahi de raha hai
Woh aapko positivity bhi de raha hai, good vibes bhi de rahe hain

Toh agli baar jab aap kisi ke charan sparsh karte hain
Toh achchhi tarah jhuk jaaiye
Apne dono haathon se unke dono pairon ko sparsh kijiye
Thank you



Credits
Writer(s): Rishi Nanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link