Every Wish Would Have Been Fulfilled

Namaste doston, mera naam hai Rishi Nanda
Aur aaj hum baat karenge ki diya kyun jagaya jaata hai
Koi bhi shubh kaarya aap karne jayenge na
Toh aapke mata-pita hamesha kahenge
"Diya jaga ke jaao, mandir mein jyot jaga ke jaao"

Aarti mein bhi jyot hoti hai
Sab jagah diya ya jyot jagaya jaata hai
Aisa kyun kiya jaata hai?

Katha agar aap dekhenge
Toh yeh toh phir Diwali se associated hai
Jab Prabhu Ram aate hain Ayodhya
Sita Maiyya ke saath, Ravan ka vadh karke
Ayodhya nivaasi jo hain
Poore raah mein unke diye jaga dete hain

Swagat karne ke liye hi
Parantu woh ek sandesh dena chaahte the Prabhu Ram ko
Ki 14 saal hamara jo jeevan tha woh andhkaar mein tha
Aaj aap aaye ho, roshni lekar aaye ho
Ab hamare jeevan ka andhkaar door chala jaayega

Waise hi diya jo hai, agni jo hai, woh soorya ko represent karti hai
Aur soorya humein jaise positivity deta hai, humein energy deta hai
Waise hi woh diya humein positivity deta hai, thodi energy deta hai

Toh agli baar jab aap diya jalayenge, yeh yaad rakhiye
Yeh sirf kisi ka swaagat karne ke liye nahi hai
Aapke aaspaas positivity laane ke liye hai
Aapki energy boost karne ke liye hai, dhanyawaad



Credits
Writer(s): Rishi Nanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link