Drishtibhram

Jeeta kyu tu leke itne gham
Dunia toh hai drishtibhram kar karam
Ho bhala na rakh trushna
Kar khanan mehnat teri gavah
Satya meri raha hai har mod har pal aur har dagar
Mai anveshan kar raha
Sambhla hu ab kar chalaavaran
Gulaam zindagi ka jaise ho meri wo memsaab
Karu saara kaam sunu waqt ki mai din raat subah shaam
Vipreet vicharo ki ye aavam
Mera purvagrah mere sath hai
Dar aur ab na kisise khauf hai
Mai mera jigra milke ek saath
One man fauj hai
Benaam hu aawara jaana meri jaan
Paane aayi dharti pe thoda sammaan
Sochkar na karu kuch huyi kayi bhool chook
Mera saaf hai mann dunia drishtibhram
Mera kaam khatam
Parakh lia ye bhram
Dua hai ke yaara ho mera ye aakhri janam
Karne acche karam khuda teri kasam
Leke na jiyunga ab mai koi gham

Ye dunia drishtibhram
Ye dunia drishtibhram
Haaaaan
Ye dunia drishtibhram

Kaisa atyachaar laachaar dil dhadak ke satgaya
Dimag fatgaya jaise waqt tham gaya
Fir bhi jeena jamgaya
Jaise maine haar haar ke bhi jaana
Karna waar diya jisse bhi pyaar
Unke liye bas tha mai khar khar khatre hazar
Zindagi mein jaana ban sunn aur numb
Ye saara drishtibhram sukh dukh lum sum
Sukh kam dukh mein dum aawara mann
Bura waqt khatam ab karna khanan
Jab sabkuch samajlia tab jaanu
Adhura baki bacha hai kaafi kuch aana aur jaana
Kehta mera mann dunia toh hai bas ek drishtibhram

Ye dunia drishtibhram
Ye dunia drishtibhram
Haaaan
Ye dunia drishtibhram



Credits
Writer(s): Aniesh Rana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link