Bhool Gaya Main

Bhool gaya mai jhoolgaya
Khudko iss mitti mein dhund yaha
Khudko mai bhool gaya main
Inn sadko pe jhoomgaya main
Raaste wahi par iss dunia mein jhoomgaya

Jhoom gaya mai jhoom yaha pe
Dunia ye sukh baatey log saale dukh laate
Soch kaali chup chaap hai sab baithe ghar
Saari sadke bhi sunsaan hai rap game kya
Paisa ladki ka khoob kaam hai
Khoob baatein sab baap hai asal baap chup chap hai
Din mere dhoom dhaam watan mera toofan hai
Tere jaiso ke wajah se hui hai khadi ye ghadi thodi soch kar badi
Kal jaana tujhe wahi hai
Jhoolgaya main duniya ke jhoolon se Bhool gaya mai kaate bhi foolon mein
Zubaan hathyar teri chavi mere Haatho mein bhi kali hai jo hari padi
Dunia teri bhi meri bhi farak bolchaal shaitan bhagwan
Marzi teri farzi chaale naadan dildaari salaam
Rakha kya usme naam mann se khudke aazad
Jhool gaya mai jhoom gaya aakh laal meri uddgaya
Bure kaal se hu choot gaya iss taal se hu judgaya mai
Mudgaya mai kacche raaste wo judte the kaale savero se
Kabhi na kabhi toh dhero se guzrege
Haan tu paiso ke piche jo paisa rehte tere niche
Paisa paisa saare piche aaj note tujhe khiche
Bhula chuka hu wo bhook thoda pyaasa baki theek hai

Bhool gaya mai jhulgaya
Khudko iss mitti mein dhund yaha
Khudko main bhool gaya main
Inn sadko pe jhoom gaya main
Raaste wahi par iss dunia mein jhoom gaya main
Bhula paiso ki bhook kai bhool chook sadko pe khela tha
Akela tha sun yar dosti ke naam pe toh pura jhamela tha
Saath papa ki rooh athra saal ki umar mein chalna jo seekha tha
Sadko pe khela tha
Haan
Akela tha
Bhool gaya mai jhool gaya khud ko Iss mitti mein dhund yaha haa
Khudko main bhool gaya main

Bhool gaya main jhool gaya
Sharab mein hoon doobgaya
Rango mein milgaya wo rango se judgaya
Tu sochke toh dekh baato se kya maine boya
Sapno ki dunia ko chua
Wo khushia wo
Dumdaar zindagani kya usool bhaaga daudi
Kya fizool pareshani
Kyu sar pe chadha ye bhoot
Dukh dard kaam paisa roti paani makaan sab jhooot
Haargaya mai haargaya insan ko maangaya
Ye saamne kuch aur par
Piche se maargaya
Wo saath kya jo saath tha saath hoke na saath tha
Main jaan gaya ye jaangaya Sambhaalu main bhala ye kaise
Jeevan ne saza di har keemat ka hisab Sapera wo mai saap
Gayi likhi ye kitaab haatho mein na tere daab jo hona wo hona
Zindagani ka hisab
Kabhi tere saath toh kabhi ye khilaf Kabhi gunhegaar kabhi tu bhi maaf
Kabhi tu bhi saaf
Kabhi toh tu gundh nayi ye pasand nayi wo pasand
Jabki sab tere pas
Bhool gaya mai jhool gaya
Khudko iss mitti mein dhund yaha
Khudko main bhoolgaya mai

Bhool gaya mai jhulgaya
Khudko iss mitti mein dhund yaha
Khudko main bhool gaya main
Inn sadko pe jhoom gaya main
Raaste wahi par iss dunia mein jhoom gaya main
Bhula paiso ki bhook kai bhool chook sadko pe khela tha
Akela tha sun yar dosti ke naam pe toh pura jhamela tha
Saath papa ki rooh athra saal ki umar mein chalna jo seekha tha
Sadko pe khela tha
Haan
Akela tha
Bhool gaya mai jhool gaya khud ko Iss mitti mein dhund yaha haa
Khudko main bhool gaya main



Credits
Writer(s): Aniesh Rana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link