Why We Have A Mandir At Home

Namaste dosto
Mera naam hai Rishi Nanda
Aap sabka swagat humare is karyekram "Pratha, sanskriti aur sanskar" mein
Aaj ka vishey, ki gharon mein mandir kyun hote hai?

Mujhe ek baar ek bache ne aakar pucha tha
Ke bhagwan toh sab jagah hai, prakriti hi bhagwan hai
Surye devta hai, Chandra devta hai, Ganga maiya hai, Dharti mata hai
Varun devta hai, Lakshmi mata hai, Saraswati mata hai
Sab hi toh bhagwan hai, to fir mandir ki kya aavashakta hai?
Aur vo bhi gharo mein kyun? Har ghar mein mandir kyun hota hai?
Bhagwan ko mandir kyun chaiye gharo mein?
Maine kaha, "Beta, bhagwan ko mandir nahi chaiye, hamare ghar ko vo mandir chaiye"
Aur kyun chaiye ab main aapko batata hu

Kya hota hai ki har kamre mein na ek urja hoti hai, ek particular energy hoti hai
Jaise ek bedroom hota hai, pati-patni wahaan par jab samay bitate hain
Vo ek alag energy hoti hai un dono ki
Jab aap apne ghar mein, apne mata-pita ke kamre mein jaayenge
Waha ki urja badal jaati hai, maan-samaan aata hai us kamre mein

Jab aap apne bacho ke kamre mein jaaoge to masti ki energy jyada hoti hai
Jab aap hall room mein samay bitate ho apne parivaar ke saath
To ek prem ka, aadar ka, maan-samman ka, masti ka, sab urjayein wahaan par hoti hai
Aur aajkal to decor ke liye bhi kai jagah par aap gharo mein dekhoge murtiyan hoti hai

Prantu jab hum mandir mein jaate hain, vo urja badal jaati hai
Wahaan pe ek bhakt apne parmatma ke saath samay bitata hai, dhyaan lagata hai
Jo cheez ko praapt karna chahta hai, apne prabhu se baat karta hai
Jo cheez usse praapt ho gayi hai usse dhanyewaad kehta hai, sukh-shaanti se bethta hai

Aapne kabhi gaur kiya hai?
Jaise aap mandir mein dhoop jalate hai, deeye jalate hai, agarbati jalate hai
Wahaan ki jo khusbhu hoti hai, vo bohot hi alag hoti hai
Vaatavaran change ho jaata hai, aapko shaanti milti hai, sukoon milta hai
Aap aaram se bethte hain
Duniya ke jo kaaryeon, jo aapke man mein, jo aapko duvidhaayein deti hai
Jo aapko kasht deti hai, vo sab vichaar aapke man se chale jaate hai
Prantu jaise aap lakir paar karke baahar aate ho mandir ke kamre se
Vo saare vichaar humare man mein aa jaate hai

To mandir jo gharo mein hai, vo bhagwan ke liye nahi hai, vo humare liye hai
Bhagwaan to sab jagah hai, kan-kan mein bhagwaan hai
Humare hridye mein, man mein, aate mein
Prantu vo jagah, humein vo focus deti, dhyaan deti hai

Dhanyewaad



Credits
Writer(s): Rishi Nanda
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link