Raakh Hoon

Jahannam se aaya
Na ghabraya
Mere darr ko sulaya
Dil ko rulaya
Rapping style banaya
Khud ke paiso pe jiya
Karke kaam kamaya
Saath dosti gavaya
Saari bekarari meri khaari ab jaari Mere jivan ki sawari choti gaadi par
Dil mera bhaari sapna lena ferrari
Karu kaam ki gulaami
Hu dil se sharabi
Jute mere bhure
Mera style gulabi
Mere rap me toh dum
Magar music bhi nawabi
Dunia gol jhol khulke bol
Dil khol laga zor kab tak
Hoga bandha tu usme dor
Mai
Banna chahta baap jaisa
Ek he khwab dekha
Paar ki saari rekha
Kab se hai mann mera beheka
Meri barbaadi laaparwahi mere guru
Bhakt mai aage badhu
Mera ab raaj shuru

Jalke mai raakh hoon
Raakh hoon
Lage aisa muje ke
Saase thaamlu
Ab haar mai maanlu
Jalke mai raakh hoon
Raakh hoon
Mai mera tan badan haan
Saasein thaamlu
Ab haar mai maanlu

Jalke mai rakh hu
Fir bhi bebaak hu
Mere na saath koi
Bheed me akela hu
Sambhaala ghar bar
Dunia me bas dena pyaar
Kya ukhada tune khaake veggie on a shanivar
Seekha guitar tera saal ki umar thi kamal
Zindagi tab ki dhamaal
Mere chote sawal
Maths science ka tha waar
Meri zindagi toh aadhi bas padhne me bitaadi jab
Mann me na tha bong aur kuch bhi na tha wrong
Baje paanch dekha maine roz sham pokemon
Dragon ball doraemon wo waqt ko salaam
Ab khushia haram ya fir ye mera gunaam ab
Maccha bawal maya jaal intekhaab hai wo raab
Chakha jisne sahi karega raaj jab pehenuga taaj
Naa rahuga zinda laash
Ab tak kab chalega sab
Udu mai kaash

Jalke mai raakh hoon
Raakh hoon
Lage aisa muje ke
Saase thaamlu
Ab haar mai maanlu
Jalke mai raakh hoon
Raakh hoon
Mai mera tan badan haan
Saasein thaamlu
Ab haar mai maanlu



Credits
Writer(s): Aniesh Rana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link