Mr Rana

Ye meri kahani hai dosto
Naam mera Aniesh Rana
Ye hai meri zindagi
Ek sharabi
Har ye lavz gaur se sunna
Haan

Sharab ka nasha ye kaisa hua mujhpe haavi
Shaam se jo piyu sar raat tak bhari
Zindagi humari saali kaisi bhaaga daudi
Baap ka mai beta na jo maine haar maani
Kadam kadam chale yaha kadam kadam gire
Palatkar na dekha aur na piche hum mude
Kaisi kaisi baatein hai aur kaisi kaisi soch
Ayy bhai dede thoda maal paper aur ek roach
Zindagi humari bas nashe gaane paani
Jo chahu wo pau setting hai purani
God ne toh jo chaha wo dediya
Sala pyaar karne wala mera papa leliya
Yaad mein unke maa ki godh mein roya
Seekha ke unko khoke bhi na maine khoya
Adhuri kahani akeli har raat
Royal stag kholu toh piyu din raat
Kyuki
Naam mera hai aniesh r rana
Kaam hai mera khana khilana
Adhuri ye reet mere papa ne jo chodhi
Yaad mein unke
Bas karna hai puri
Sochu toh dekhu ye kaisi majboori
Seene se lagata dekhke mujhe mera daddy
Dhande ke din bhi sala lagta hai khaali
Papa tera beta dekh bada hogaya
Seekha ke kis tarah tu dunia sehgaya
Tu thak gaya tu behgaya tu jeegaya
Ab kehne ki bas yaad ragho mein tu din raat
Har subah har shaam aaj bhi roti tere naam
Jeeta hu yu peeta khata hu kebab
Zindagi mein dhundne hai saare jawab
Dil se hu saaf mai banuga nawab
Jo hoga wo hoga
Raat gayi fir kya baat

Naam mera Aniesh Rana
Haan
Ye mera kaam mera naam inaam meri pehchaan
Haan
Ye meri kahani hai dosto

Jaan meri jaane kaisa jiya mai bekaar
Dheere dheere seekha ye tha
Zindagi ka waar
Saasein gayi tham bure the mere halaat
Par aaj bhi yaad aati hai papa wo teri daat
Kabhi kabhi socha zindagi ka hu gulaam
Tabhi bola mann saale dunia haraam
Do pal ki khushiya do dum ka hai kaam
Ye saali maaya moh bas hai ek naam
Fir bhi andaaz kaisa
Ye saara khel paisa
Kadwa hai sach kaisa
Meri sharab jaisa
Jo bhi jitna khoya maine paana usse zyada
Zindagani ka usool mera dil na dukhana
Jaana maana banna chahna ab toh marne se na darna
Kitna lamba ye safar hai anjaana
Marke na marjana tu jeeke bhale jana
Gaana zindagi ka gana
Mera naam hai rana
Josh josh kehke maine khoya sara hosh
Na pata chala ke kab mai hua madhosh
Zindagi ne kab ye modd lia
Khushiyo ne saath chodhdia
Jo maine samjha ke ab jo bhi hoga hone dena
Lena dena kisise bhi ab kabhi bhi na rakhna
Ye sala nakhra
Jee tu jaise fukra
Zindagi mazak aakhir mein tu bas raakh
Ab kaise kaise khyalo se
Mann ki aawazo se
Chaar deewaro mein
Hua mera sara mann pareshan
Tu maan na maan ye hai mera paigaam
Dekhte he dekhte ye waqt hai jara
Mai bas meri maa ka aakhri sahara
Unki ek khwaish bas puri karana
Milana mere daddy se doobara



Credits
Writer(s): Aniesh Rana
Lyrics powered by www.musixmatch.com

Link